Thursday 7 July 2011

Yeh raat khushnaseeb hai, jo apne chaand ko Kaleje se lagaaye so rahi hai Yahan to gam ki sej par, hamaari aarzoo Akeli munh chhupaaye ro rahi hai Yeh raat khushnaseeb hai, jo apne chaand ko Kaleje se lagaaye so rahi hai Saathi maine paake tujhe khoya, kaisa hai yeh apna naseeb, oh Tujhse bichhad gayi main to, yaadein teri hain mere kareeb, oh Tu meri vafaaon mein, tu meri sadaaon mein Tu meri duaaon mein Yeh raat khushnaseeb hai, jo apne chaand ko Kaleje se lagaaye so rahi hai Kat ti nahin hain meri raatein, kat te nahin hain mere din, oh Mere saare sapne adhoore, zindagi adhuri tere bin, oh Khwaabon mein, nigaahon mein, pyaar ki panaahon mein Aa chhupa le baahon mein Yeh raat khushnaseeb hai, jo apne chaand ko Kaleje se lagaaye so rahi hai Yahan to gam ki sej par, hamaari aarzoo Akeli munh chhupaaye ro rahi hai

No comments:

Post a Comment