Monday 13 February 2012

True Lover Vs God

True Lover Vs God
mujhse kaha khuda ne mat kar intazar is janam me uska milna mushkil hai
maine b keh diya lene de maza intazaar ka agle janam mein toh
mumkin hai..
fir usne kaha hata usse chal tujhe jannat ki hur se milata hu,
mere pyaar ka muskurata chehra tujhe jannat ki hur bhoolata hun
tilmilakar kaha usne mat bhul apni aukat tu hai toh ek insaan maine kaha "toh mila de mujhe mere pyaar se aur sabit kar ki tu hi h bhagwan..
Aai khuda har faisla tera mujhe manzoor hai..
samne tere..tera banda bohut majboor hai..

Wednesday 8 February 2012

Jis dil mein basa tha pyar tera us dil ko kabhi ka tod diya...
Badanam na hone denge tujhe tera nam hi lena chhod diya...

Monday 6 February 2012

Khuda ko dikh raha hoga, na dil tujhse judaa hoga
Teri taqdeer mein mujhko, woh ab toh likh raha hoga

Khuda ko dikh raha hoga, na dil tujhse judaa hoga

Teri taqdeer mein mujhko, woh ab toh likh raha hoga
Tera hi bas hona chaahoon
Tere dard mein rona chaahoon
Tere dil ke inn zakhmo pe, marham main hona chaahoon
Tera hi bas hona chaahoon
Tere dard mein rona chaahoon
Tere dil ke inn zakhmo pe, marham main hona chaahoon

(kar le kabool khudaya mere sajde

ab toh naseeb mein mere usse likh de
ho kar le kabool khudaya mere sajde
ab toh naseeb mein mere usse likh de)

Tu phir na soya hoga, shayad phir roya hoga

Tu phir na soya hoga, shayad phir roya hoga
Aasu meri palkon pe, yun hi na aaya hoga
Dena mujhko aawazein
Ya sunn meri fariaadein
Ghere hain mujhko yaadein, bin tere
Tujhe hi bas paana chaahoon
Khud ko main khona chaahoon
Tere dil ke inn zakhmo pe, marham main hona chaahoon
Tera hi bas hona chaahoon
Tere dard mein rona chaahoon
Tere dil ke inn zakhmo pe, marham main hona chaahoon

(khuda ko dikh raha hoga, na dil tujhse judaa hoga

teri taqdeer mein mujhko, woh ab toh likh raha hoga)

Dil ne ibaadat ki hai, teri bas chaahat ki hai

Dil ne ibaadat ki hai, teri bas chaahat ki hai
Likaaya arziyon mein, tujh bin jeena nahin hai
Mujh mein ab main kahan hoon
Tujh mein rehne laga hoon
Main toh bas jee raha hoon, bin mere
Tujhe khwaab mein dikhna chaahoon
Teri saans mein khona chaahoon