Thursday 30 June 2011

Barish

baarishoon ke mausam mien
dil bohat machalta hai...
tere sang chalne ko
tujh se baat karne ko..
teri baat sunne ko
dil bohat machalta hai...
dil ko kaise samjhaein
hum ko zindgi bhar ab
baarishoon ke mausam mein
bheegna bhi hai tanhaa
aur tanhaa chalna hai...
baarishoon ke mausam mein
tujh ko yaad karna hai...!

No comments:

Post a Comment